Manqabat Dedicated To Hazrat Imam Hussain (Ra)

Manqabat Dedicated To Hazrat Imam Hussain (Ra)
Khwaja Gharib Nawaaz, Hazrat Moinuddin Chishti Ajmeri (Ra); (D. 1236) Has Recounted The Exalted Position Of Hazrat Imam Hussain, (Sayaad-As-Shohada, Imam Al Sabereen) In The History Of Islam In The Following Persian Naat:

1. Shah Ast Hussain, Badshah Ast Hussain
2. Deen Ast Hussain, Deen Panah Ast Hussain
3. Sar Dad Na Dad Dast Dar Dast-E-Yazid
4. Haqqa Ke Binae Lailah Ast Hussain

Meanings:
1. Hussain Is The Leader, Hussain Is The King
2. Hussain Is Deen, Hussain Is The Refuge Of The Deen
3. He Gave Away His Head, But Did Not Give His Hand Of
Allegiance To The Hand Of Yazid
4. By God! Hussain Is The Foundation Of Lailaha (That
There Is No One But Allah Worthy Of Worship)

“Deen Panah” Here Means “Deen Ko Panah Daine Wala, Madadgaar”.

The Main Naat Of Hafiz Now Follows:

1. Sayyad Ne Karbala Mein Wa’Dey Nibha Diye Hain
2. Deeney Muhammadi Ke Gulshan Khila Diye Hain
3. Deeney Nabi Pe Vaari Akbar Ne Ki Jawani
4. Abbas Ne Bhi Donon Baazu Kata Diye Hain
5. Zainab Ke Baagh Mein Jo Do Phool The Mahektey
6. Zainab Ne Woh Bhi Donon Naame Khuda Diye Hain
7. Ik Bach Gaya Tha Ghuncha Usko Bhi Pesh Kar Ke
8. Sayyad Ne Jhar Ke Yun Daman Dikha Diye Hain
9. Boley Hussain Maula, Teri Raza Ki Khatir
10. Ek, Ek Kar Ke Mayne Heerey Loota Diye Hain
11. Shabbir Ki Bhi Aisi Pur Dard Daastan Hain
12. Dil Paththaron Ke Wallah, Jis Ne Hila Diye Hain
13. Bakhshish Hai Uski Laazim Sayyad Ke Gham Mein Hafiz
14. Do Char Aanshu Ro Kar Jis Ne Baha Diye Hain

Author: Janaab Hafiz

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

1 Comment
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
1
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x