Idhar Hazaroon Nabi o Mursal

Idhar hazaroon Nabi o Mursal, udhar Woh tanha khare huway hain,
Hamarey Aaqa to apne rutbay mein sab say aagay barhay huey hain.
Kareem Aaqa kay aik tukray nay pal rakhi hai sari duniya,
Jabhi to shah o gada tamami unhi kay dar pay paray huay hein.
Koi to bolay jisay khuda nay nahin diya hai Nabi ka sadqa,
Hamaray bachay to Mustafa kay hi tukray kha kay barhay huway hain.
Hamaray daman mein kuch nahi hai agar hai Aaqa to ishq Tera,
(Hamaray daman mein kuch nahi hai jo hai Aaqa to ishq Tera)

Issi liye to faqeer Teray, teri gali mein parhay huway hain.
(Issi liye to faqeer saray, teri gali mein parhay huway hain)
Gaye na ik din skool lekin, jahan ko to sab sikha diya hai,
Kahan say parhtay, yeh kis say parhtay, Khuda say aakhir parhay huway hein.
Yahan to lakhoon sikandaroon ka na bans baki na bansuri hai,
Magar hamaray Nabi kay jhanday, azal kay din say gharay huway hain.
Ali kay ghar ki na pucho azmat, yeh ghar anokha hai sab say NASIR,
Nabi ki Zahra kay dar per qudsi bhi sar jhukaye kharay huway hain.

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x