Ho Karam Sarkar Ab To Ho Gaye Gham Beshumar

Ho karam sarkar ab to ho gaye gham beshumaar
Jaan-o-dil tum par fida e, do jahan ke tajdaar
Grant bounty upon me my Master, my sorrows have become limitless,
My heart and soul are sacrificed for You, O King of both worlds

Ya Rasulallah karam, Ya Habiballah karam,
Ya Rasulallah karam, ho niga he karam
O Messenger of Allah, your generosity, o Beloved of Allah, your generosity
O Messenger of Allah, your generosity – that glance of generosity!

Mein akela aur masa’il zindagi ke beshumar,
Aap hi kuch kijiye na, aie Shahe-aali-waqar

Sang-E-Aswad Choom Kar Milta Mujhey Kaif-O-Suroor
Chain Paata Daikh Kar Dil Mustajab-O-Mustajab

Yaa Khuda Dikhla Hateem-E-Pak Meezab-O-Maqam
Aur Safa Marwa Mujhey Behr-E-Rasool-E-Zee Waqar

Yaad aata he tawaaf e Khaana Kaaba mujhe,
Aur lipatna Multazam se walihana baar baar
Memories arise of me doing Tawaaf (circumambulation) around the Holy Kabah,
And then clinging to the Multazam again & again

Jaraha he kaafila Taiba nagar rota huwa,
Mein raha jata hoon tanha e Habib-e-kird e gaar
The people are leaving for Madinah, crying,
I am left here with the wish to go, O Beloved of Allah

Jald phir tum lo bula, aur Sabz Gumbad do dikha,
Hazari ki arzoo ne kar diya phir beqarar
Quickly call me back, and show me the blessed Green Dome,
The hopes of being present there again have made me restless

Choom kar khaaqe Madina, jhoomta phirta tha mein,
Yaad aate hain Madine ke mujhe lailonahar

Gumbade Khazra ke jalwe aur woh iftaria,
Yaad aati he bohot Ramzan e Taiba ki bahar
The view of the Green Dome, and those iftaars (moment of breaking the fast),
Memories arise constantly of Ramadan in Tayba (Madinah)

Ya Rasulallah, sun lijiye meri faryaad go,
Kon he jo be sune Tere siwa meri pukaar
O Messenger of Allah, please hear my plea,
For who, other than yourself, will hear my cries?

Haal par mere karam ki ik nazar farmayi e,
Dil mera ghamgeen mile he ghamzadon ke ghamgusar he
Upon my state, grant just one glance of generosity,
For my saddened heart, you are the healer of the sad-hearted

Kaafile waalo suno, yaad aaye to mera salaam,
Arz karna rote rote ho sakeh to baar baar
O pilgrims, listen – if you remember, then convey my salaam
Convey it whilst crying, and if possible, (do so) again and again

Ghamzada yun na hua hota Ubaid-e-Qadri,
Is baras bhi dekhta har Sabz Gumbad ki bahar
Ubaid-e-Raza’s sadness would not have been so,
If this year, he could see the beauty of the Green Dome

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

3 Comments
Newest
Oldest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
3
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x