Hai Labon Par Duroodo Salaam

Hai Labon Par Duroodo Salaam, Hai Labon Par Duroodo Salaam

1. Ya Shahe Behro Bar Ho Karam Ki Nazar
2. Dar Pe Hazir Hua Hai Ghulam
Hai Labon Par
3. Behre Gham Mein Phansa Hun Bacha Lijiye
4. Aai Ye Meri Mushkil Mein Kaam
Hai Labon Par
5. Ya Nabi Aap Hai Abroo Vey Chaman
6. Ya Nabi Aap Hai Khuld Ka Baankpan
7. Ya Nabi Aap Shahe Zamino Zaman
8. Aap Ka Do Jahan Mein Nizam
Hai Labon Par
9. Jisme Athar Ne Paai Hai Aisi Mahek
10. Chehrae Paak Ne Paai Aisi Chamak
11. Jis Ne Dekhi Khuda Ki Qasam Ik Jhalak
12. Ban Gaya Aap Ka Woh Ghulam
Hai Labon Par
13. Ya Nabi Aap Ka Kya Hi Ejaz Hai
14. Har Ada Se Ayan Shaane Ejaz Hai
15. Aap Par Munkashif Rab Ka Har Raaz Hai
16. Aap Ki Baat Rab Ka Qalam
Hai Labon Par
17. Aap Ka Faiz Hai Har Nabi Aur Wali
18. Aur Siddique-O-Farooque-O-Usman, Ali
19. Aap Ke Naam Se Har Musibat Tali
20. Aap Ka Hi Hai Uncha Maqam
Hai Labon Par
21. Jibraeeley Amin Ne Nabi Se Kaha
22. Ya Nabi Sidratul Muntaha Aa Gaya
23. Mere Parwaaz Ki Hai Yehi Intaha
24. Aagey Jana Nahin Mera Kaam
Hai Labon Par
25. Aagey Rafraf Mila Woh Bhi Kuch Dur Tak
26. Phir The Tanha Woh Noorun Ala Noor Tak
27. Koi Ghilman Nahin Aur Koi Hoor Tak
28. La Makaa’N Mein Huey Shaadkaam
Hai Labon Par
29. Kya Bataun Khuda Ne Unhen Kya Diya
30. Apni Ummat Ki Bakhshish Ka Wa’Dah Liya
31. Apni Ummat Na Bhuley Wahan Bhi Shahaha
32. Yaad Aaein Wahan Bhi Ghulam
Hai Labon Par
33. Hum Ko Siddique-E Akbar Ka Sadqa Miley
34. Hum Ko Farooque-E Athar Ka Sadqa Miley
35. Hum Ko Usman-O-Haidar Ka Sadqa Miley
36. Bhar Dey Jholi Ko Khayrul Anam
Hai Labon Par
37. Qabr Mein Aap Jab Aaein Ya Mustafa
38. Iltija Aap Se Hai Habibe Khuda
39. Yehi Hum Asiyon Ki Hai Subho Masha
40. Dast Basta Karein Hum Qiyam
Hai Labon Par

Author: Janaab Abdul Sattar Niyazi
Meanings:
Line 1: Behr = Samundar
Line 1: Bar = Zamin
Line 6: Khuld = Jannat
Line 6: Baankpan = Hasin
Line 9: Athar = Paak Jism
Line 13: Ejaz = Martaba, Rutba
Line 14: Ayan Shaane Ejaz Hai = Zaahir Hoti Hai Aap Ki Shaan
Line 15: Munkashif = Kashf Aap Ke Upar Zaahir Hona
Line 25: Rafraf = Animal Faster Than Burraq
Line 36: Khayrul Anam = Goodness; Virtuous One
Line 39: Asiyon = Gunehgaar
Line 40: Dast Basta = Hath Bandh Kar Kharey Hona

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x