Afzal Hai Mursalon Mein Huzoor Ki

Afzal Hai Mursalon Mein Huzoor Ki
Akmal Hai Ambiya Me Naboowat Huzoor Ki

Hai Zarrah Zarrah Unki Tajalli Ka Ek Suragh
Aati Hai Phool Phool Se Nikhat Huzoor Ki

Afzal Hai Mursalon Me Risalat Huzoor (Saw) Ki
Akmal Hai Ambiya Me Naboowat Huzoor Ki

Pehchan Lengen Aap Wo Apno Ko Hashr Me
Ghafil Nahin Hai Chashm-E-Inayat Huzoor Ki

Afzal Hai Mursalon Me Risalat Huzoor (Saw) Ki
Akmal Hai Ambiya Me Naboowat Huzoor Ki

Aate Rahe Then Rahnumaayi Ko Ambiya
Jari Rahegi Rushd-O-Hidayat Huzoor Ki

Afzal Hai Mursalon Me Risalat Huzoor (Saw) Ki
Akmal Hai Ambiya Me Naboowat Huzoor Ki

Ankhen Na Ho To Khak Nazar Aaye Aftab
Siddiq Jante Hain Sadaqat Huzoor (Saw) Ki

Afzal Hai Mursalon Me Risalat Huzoor (Saw) Ki
Akmal Hai Ambiya Me Naboowat Huzoor Ki

Khole Hain Mushkilat Jahan Ne Kayi Mahaaz
Kam Aayi Har Qadam Pe Himayat Huzoor Ki

Meri Nazar Me Murshid-E-Kamil Hai Wo Bashar
Tafweez Kar Sake Jo Mohabbat Huzoor Ki

Jo Ho Gaye Hon Aap Ke Aap Unke Ho Gaye
Adat Nahin Hai Tark-E-Murawwat Huzoor Ki

Afzal Hai Mursalon Me Risalat Huzoor (Saw) Ki
Akmal Hai Ambiya Me Naboowat Huzoor Ki

Guzri Hai Muflisi Me Badi Abroo Ke Sath
Allah Ka Karam Hai Inayat Huzoor Ki

Afzal Hai Mursalon Me Risalat Huzoor (Saw) Ki
Akmal Hai Ambiya Me Naboowat Huzoor Ki

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x